Kyun tadpati hai tu
Kyun itna yaad aati hai tu
Kyun sine mein ghar kar gayi
Kyun khwabon mein dal gayi
Kyun main teri kadar karta hun
Kyun main tere upar marta hun
Kyun main teri ibadat karta hun
Kyun teri hi aadat hai
Bas teri hi chahat hai
Bata de mujhe
Ya mila de mujhe
Ya jala de mujhe
Bas mujhe yaad kar
Mujhe itna pyar kar
Apni baahon mein bhar le
Mujhe tu apna kar le
Mera dil tere paas hai
Sirf yehi ehsaas hai
Hum bhi kuch kar jayenge
Tere pyar mein mar jayenge
Tu bas itna yakin kar
Bas ek muheem kar
Mujhe apna bana le
Apne sine mein kahin chupa le…
by Gaurav Mehta
Write with us:
No comments:
Post a Comment