Recent Posts

Just Saying

Just Saying

Friday 10 May 2013

Aakhir Kyu maa.. Poem By Parul Parihar


Khush Kismat Woh Log Hai..

Jinhe Maa Ka Saath Hai mila..
Woh maa ki mamta.. woh chaav hai mila..

Par mujhe toh Maa ne hi meri..
Khud se Alag hai kia.. Mere Zindagii ke Koree Kaagaz me kabhi rang na bhara..



Kok me Jab teri Mein dheemi saansein le rahi thi..
Nanhi Harkato ke Maa tune Sapne The Bhune..

Lekin Kadam maine jab iss Bejaan Dharti par liya..
Astitav ko mere Meri Janam Deni wali maa ne hi Mitta Diya..

Harr Aansu meri choti Aankho se ghirte hue..
Ko maa tune kuch yuh Nazar andaaz Kiya..

Khoon se mere khud ko rang kar..
Us Koree Kaagaz me meri maut kaa rang  tha bhar diya..

Maa se upar toh ishwar allah bhi nahi..
Koi mazhab koi seema nahi..

Phir kyon Tune Mujhse Zindaa Rehne Ka haq hai Cheen Liya..
Kya baba ki baatein.. Gairo ke taanein ne..
Pyaar ko tera apni BITIYAA ke liye iss hadh tak kam tha kar diya..


Roshan toh tere Aangan ko mein bhi utna hi karti..
Jitna bhaiya ne tha kiya..

Bas farak itna tha Tune Ladki keh kar Thukraa Diya..
Aur Upar wale ne Beti Keh kar apne seene se tha laga liya..

Khush Kismat hai woh.. jinhe Maa ka sath hai mila..

By: Parul Parihar
Purple Pen. just one click away : Download our smart-phone App

No comments:

Post a Comment

Designed By Blogger Templates