Recent Posts

Just Saying

Just Saying

Tuesday 20 November 2012

Tu kaun hai,, hai kya teri pehchan, By Poonam Bhaktani

Tu kaun hai,, hai kya teri pehchan
Socha maine khud se puchu aaj
Kabhi tu andekha sa khwaab hai
Kabhi pyari si haqiqat,,,
Kabhi tu dua hai

Aur kabhi ek ankahee si khwahish
Kabhi tu sabse door hai
Aur kabhi mere sabse karib
Kabhi tu roshani hai
Kabhi meri hi parchai



Kabhi lage tu mujhe shararat
Agle hi pal tu lage sachai
Kabhi mere dil mein chupa raaz hai
Kabhi kisi ke chehre ka andaaz hai
Kabhi tu mere kal ka hissa
Kabhi mere aaj ka kissa

Kabhi tu meri aankhon mein hai
Kabhi meri baaton mein bas tu hai
Kabhi tu meri chahat hai
Kabhi tu meri aadat hai


Kabhi tu thandi shaam hai
Agle din ki pyaari subah hai
Kabhi ek aansu hai
Kabhi natkhat muskan
Shayad khud se anjaan
Kabhi tu mera pyar hai

Kabhi tu meri jaan
Mera kuch armaan hai
Naa jaanu main kaun hai tu
Kya teri hai pehchaan


Bas jaana hai maine itna
Dil ne maana hai tujhe apna
Tu jo bhi hai bahut khaas hai
Iss dil ko tujhpe vishwas hai

Nahi janna kaun hai tu
Kya hai teri pehchan
Tu mera kal tha aur
Tu hi mera aaj hai
In aankhon ki gehrayi
Mein chupa
Ek anjana sa raaz hai…..



Write with us: 

                    Get your story featured here, please contact us at:
 iampurplepen@gmail.com

10 comments:

  1. I have always been a fan of ur poems. :)
    beautifully written and very well expressed. :)
    lovely. :)

    ReplyDelete
  2. thanx for alwayz appreciating abhi :)

    ReplyDelete
  3. Poonam h tu aur poem hi teri pahchan
    Nice yar

    ReplyDelete
  4. Poonam h tu aur poem hi teri pahchan
    Nice yar

    ReplyDelete
  5. Poonam h tu aur poem hi teri pahchan
    Nice yar

    ReplyDelete
  6. no words..jus awesumm :)

    ReplyDelete

Designed By Blogger Templates