Recent Posts

Just Saying

Just Saying

Saturday 28 September 2013

Aakhir Kyon Maa... , by Parul Parihar

 
Aakhir Kyon Maa...  

Khush Kismat Woh Log Hai..

Jinhe Maa Ka Saath Hai mila..
Woh maa ki mamta.. Woh chaav hai mila..
Woh halki si fhatkaar.. Woh maa ka dulaar hai mila..

Par mujhe toh Maa ne hi meri..
Khud se Alag hai kia..
Mere Zindagii ke Koree Kaagaz me kabhi rang na bhara..

Kok me Jab teri Maa Mein dheemi saansein le rahi thi..
Nanhi Harkato ke Mere tune Sapne The Bhune..

Lekin Kadam maine jab iss Bejaan Dharti par liya..
Astitava ko mere Meri Janam Deni wali maa ne hi Mitta Diya..

Harr Aansu meri choti Aankho se ghirte hue..
Ko maa tune kuch yuh Nazar andaaz tha Kiya..

Khoon se mere khud ko rang kar.
Us Koree Kaagaz me meri maut kaa rang tha bhar diya..

Maa se upar toh ishwar allah bhi nahi..
Koi mazhabb koi seema nahi..

Phir kyon Tune Mujhse Zindaa Rehne Ka haq hai Cheen Liya..
Kya baba ki baatein.. Gairo ke taano ne..
Pyaar ko tera apni BITIYAA ke liye iss kadar kam tha kar diya..

Roshan toh tere Aangan ko mein bhi utna hi karti..
Jitna bhaiya ne tha kiya..

Bas farak itna tha Tune 'Ladki' keh kar Thukraa Diya..

Aur Upar wale ne Beti Keh kar apne seene se tha mujhe laga liya..

Khush Kismat hai woh.. jinhe Maa ka sath hai mila..
 
-Parul Parihar
 
 Write with us.
Get your story featured here. Send your articles at iampurplepen@gmail.com

No comments:

Post a Comment

Designed By Blogger Templates